Taarif teri ho aur zuban meri ho Mere har lamho me bus shama teri ho Tere naamo se ho shuru mere har kaam Mera nurani chehra de tera paigaam Kadam jab bhi uthen rahe haq par chalen Gunaho se paak mera daman rahe Dua me ye bhi karun dua me woContinue reading “Taarif teri ho – Dua…”
Category Archives: Dua
Rutha hai jo rab use manun kaise
Rutha hai jo rab use manun kaise Gunaho k daago ko main mitaun kaise Kanpte hain haath, kanpte hain ye honth Sajde me is sir ko ab main jhukaun kaise Bekhauf duniya k bazaro me ghum raha tha me Dekh yahan ki ranginio ko Khub jhum raha tha me Par ab yahan ki raateContinue reading “Rutha hai jo rab use manun kaise”
A poem on Nepal incident….
ya rab mujhko de de apni rehmato k saye mehfuz mujhko kar de, khada hun sir jhukaye kal zalzala jo aya dil mera machal raha tha sab bhagte the besudh aakhon k aage andhera chaa raha tha kisi ko kisi ki khabar nahi thi bus chikhein hans rahi thi sab ki nazre uthti thiContinue reading “A poem on Nepal incident….”
Dua…..
Bahut dekhi duniya maine Bus kuch khwahishen aur hain khudaya Ki wird tera ho zubaan meri ho Rasta tera ho kadam mere ho Kalmah tera ho tasbih meri ho Zihaad tera ho lahu mera ho Mohabbat teri ho dil mera ho Sadka tera ho muqaddar mera ho Ghar tera ho aakhenContinue reading “Dua…..”